Wednesday, May 19, 2010

MY WISH!

MY WISH!

Haryali ki qaid mai aksar yun lagta hai.....
mai bhi Sookha Patta hota...
Hawa ki halki si thapki per zindan ka derwaza khulta.....
Dhup k ujlai manzar mera tan sehlatai....
Kachi Matti ka rang meri rooh mai ghulta.....
Hawa ki madham lehron per halkorai leta behta jata.....
Sukhi chatki aankhain koi khwab na buntin......
Murjhanai ka'jhar janai ka...dil mai koi khauf na hota......
Nanhi munni jag mag aankhain 'murdi murdi si palkhain..
Chotai chotai paon...
Herani se berhtai meri janib or mai behta jata.....
aatai jaatai qadmon ki aawazain sunta.....
qadmon ki aawazain jese dhar dhar koi dharti kotai.....
or phir wo aawazain jin mai surr gatai hon.....
ya kuch jhijki girti perti madham chahain.....
din bher shehar ki galyon mai yun khaq urata.....
geeli weeran serkon per raat gae aawara phirta.....
or pairon ki oot mai milnai walon ki sergoshi sunta.....
heryali ki qaid mai aksar yun lagta hai......
aazadi ka ik din saari umar ki qaid se acha hota.........!
mai bhi sookha patta hota.....!

Regards
Ravi Kasana
Btec.Mechanical & MBA in International Business
ravikasana1984@gmail.com

No comments:

Post a Comment