go raksha
Manas sunder kand, vibhisan - ravan samvad; vibhisan ravan ko bata rahe hai ki ram kaun hai aur kyon parabhu prithavi par aaye hai.
गो द्विज धेनु देव हितकारी। कृपा सिंधु मानुष तनुधारी॥
जन रंजन भंजन खल ब्राता। बेद धर्म रच्छक सुनु भ्राता॥2॥
भावार्थ:-उन कृपा के समुद्र भगवान् ने पृथ्वी, ब्राह्मण, गो और देवताओं का हित करने के लिए ही मनुष्य शरीर धारण किया है। हे भाई! सुनिए, वे सेवकों को आनंद देने वाले, दुष्टों के समूह का नाश करने वाले और वेद तथा धर्म की रक्षा करने वाले हैं
aur mere krishna ka to naam hi gopal hai, gobind hai... lala to gow ki sewa ko aapna dharam mante hai, kyon ki go k doodh se makhan banta hai wahi to prabhu ko sabse pyara hai..
aur bhole baba ka bhi to go k doodh se abhishek karne se baba ati prasan ho jate hai.. aur baba ki to sawar bhi nandi maharaj hai..
aur hum par to gow mata ka doodh ka rin hai, doodh ka rin nhi utara ja sakta par hum aapni gow mata k sewa kar k go mata k rin k bhar ko kam kar sakte hai, unki raksha kar k prabhu ram aur krishna ke kam mai aapna sahyog de sakte hai..
aur agar kuch nahi to aapne manokamana puran karne k liye go ki sewa kar sakte hai, kyon ki gow sewa prabhu ki sewa karne k barabar hai aur jab " Jagat Maduri deta hai to phir kyon rakhe bhagwan" bhai jab ye sansar jiske pass kuch nahi hai wo bhi kaam karne par salary deta hai to Phir mere ram jo jagat k sawami hai, rajao k raja hai unka kaam karne par kya wo aapko salary nhi denge" vichar kare ram ki salary iss duniya ki salary jaisi nhi ki aaj aayi aur mahina katam to katam.. ram ki salary aati hai to jeewan bhar nhi balki jeewan k baad bhi aapko amar kar jati hai.
Issliye hum sab ko prabhu ram k kaam mai, unke gow sewa aur go raksha k uddesh mai sahyog karna chahiye..
hare krishna
No comments:
Post a Comment