Saturday, September 10, 2011

Aatanki keise ghus aate hai, Lahori darbaro ke.


aatanki keise ghus aate hai,
Lahori darbaro ke.

Har baar kyu chuk hoti hai,
Apne pahredaro se..?

Kyuki....

Hamne vardhi ke pairo me,
Sakht bediya dali hai.

Or bhediyo ko delhi ne,
Khuli chhuth de dali hai.

Tab voto ke khatir kuch neta,
Kafiro ke hit me tan jate hai.

Isiliye to roz bhediye,
Chhathi par tan jate hai.

Jis din goli ka uttar ham,
Goli se de payenge.

Us din aatanki inke,
Baap bhi thik ho jayenge.

Hamne aatanki pale,
Jeilo me paroshi biryani.

Har senik ki vidhava rohi,
Aankho me aaya pani.

Kai khun karke bhi jab,
Vo Kshamadan pa jate hai.

Or shahido ki kurbani par,
Matam chha jate hai.

Utho naye kanun mang lo,
Sansad ki diwaro se.

Hatyaro ko kshamadan ab,
Nahi mile darbaro se.

Inko sidha fanshi tange,
Veer shahido ki mataye.

Yaa sine me goli mare,
Bas..senik ki vidhavaye.

Jis din ye kanun banega,
Us din aag buzegi ye.

Varna sine me jwalaye,
Duguni ho chalegi ye...

Duguni ho chalegi ye.

1 comment:

  1. Ek saath hazaro chitaye jalti hai,
    Sinduri saanse haathon ko malti hai.
    Baaton mein baarud bhara hai, Nadiyo mein tezab hai,
    Aaj humare sansar mein, jalta aatankwad hai.
    Ye suruat hai, Badte andhkar ki,
    Ye dahshat hai, Badte atyachar ki,
    Jo roke n rukegi aur n thamegi,
    Yaad dilana hoga sabko, shahido ka kehna,
    ki “MAZHAB NAHI SIKHATA,AAAPAS MEIN BAIR RAKHNA”,
    Kyo ban baitha hai insaan dushman insaan ka,
    Nahi raha koi matlab dhrm aur imaan ka,
    To aao milkar is burai ko mitaye,
    Khun aur dehshat ki jagah, Insaniyat failaye,
    Phool bankar muskuraye sada sabhi,
    Jyoti ban paraksh falaye sabhi,
    Banaye zindagi ko khushnuma,
    Aur mita dale aatankwad ka daag badnuma.

    ReplyDelete