Friday, September 9, 2011

A POEM DEDICATED TO SHAHEED BHAGAT SINGH


A POEM DEDICATED TO SHAHEED BHAGAT SINGH............................

Ek nahi angin gatha hai jo sabka man chhooti hai, amar shahido ki angin gathaion abhi achhuti hai..

Sardar Bhagat singh band jail mai fansi ki tayyari thi, bharat k us paramveer ki ghar ghar charcha jari thi..

suni ek devi ney charcha kahin, suna ney walo sey.. is charcha ki charcha kam hai pichley 64 salo sey...

us devi ney bhagat singh man sey apna var maaan liya, 2 maalaion lekar ghar sey ekli ney prsthan kiya...

nirbhik singhni si wah devi bhagat singh k pass gai.. badey badey logo mai tha, jinsey milney ka saahas nahi..

us devi ney mangetar ban kar pesh kiya war mala ko, boli isey pehnkar swikaar karo mujh bala ko..

vismey sey bhagat singh boley devi brham ko door karo meri mangni ho chuki kabhi ki mat mujhko majboor karo

vismey sey bhagat singh boley devi brhm ko dur karo, ek raat baki hai kal faansi lag jaigi mujhko

tum kar k vivah karogi kya, fansi par chadhney walo sey.. prshan shahidi jyo ka tyo hai pichley 64 saalo sey

bhagat singh meri bhakti ko , shakti k swar deney do….savitri ki tarah mujhey bhi bhagya pariksha deney do

beshak tum savitri ho par samay nahi itna baaki.. devi ghar wapas ja kar seva karna bharat maa ki..

punarjanam mai punah milunga, swapn sajaney walo sey.. swapn sajeley dardiley hai pichley 64 saalo sey...

kal dopehr dekhna meri shaadi honey wali hai..... tatkal puch baithi wah devi.. kon huur matwali hai?

oojasvi mukhmandal damka, bhagat singh ka khayalo sey..... dulhman maut amar hai jiski pichley 64 saalo sey..

kal angreji shashan ki dulhan se yu maala pahnuga....dulhan k sath dahej mai mai aajadi maanguga..

isi beech aa gaya bulawa,bhagat singh ko faasi ka.....baimaani dekho jalim shashan satyanashi ka...

sahi samay sey 24 ghantey, pehely faasi deney ko.. bhej diye jallad jail mai ,bhagat singh ko leney ko

shashan ney shadyantr racha, shadyantr rachaney walo sey... shadyantri hi panap rahey hai pichley 64 saalo sey...

kal ki jagah aaj faasi hai, duton ney sandesh diya.... likhit roop mai bhagat singh ko shashan ney aadesh diya...

padhkar aadesh bhagat singh ney, khud hansi udai shashan ki.... usi hansi sey hili jadey, jaalim british shashan ki...

shola bankar bhadki chingari, na bujhi bujhaney walo sey..... chingari ki chamak shaant hai pichley 64 saalo sey...

saari laal, baal bikhrey they... devi roti jaati thi..desh prem ki aag saakshi mehndi maut rachati thi...

ajguru, sukhdev sath mai...2 hi sirf barati they...mritu k sang prem vivah mai shamil nahi gharati they

faansi ka fanda varmala samjha , samjhaney walo sey.. is shaadi ka jikr kahan hai pichley 64 saalo sey...

---- Maj (DR.) Deshraj Singh, Meerut

No comments:

Post a Comment