Saturday, September 10, 2011

Ek ajab si kahani hai zindgi,


Ek ajab si kahani hai zindgi,
ek ansuljhi paheli hai zindgi.

Sabka sath hote hue bhi ,
Akeli hai zindgi.

Sab kuch hai pass fir kyu,
Maayus hai zindgi.

Kabhi pyaara sa aarman to kabhi,
Kabhi nirash hai zindgi.

Kabhi khushi ka jahan hai zindgi to,
Kabhi dard ka tufaan hai zindgi.

Kabhi phulo ka gulistan to ,
Kabhi kaanto se bhara daaman hai zindgi.

Kabhi dost hai to,
Kabhi khud ki dusman hai zindgi.
Kabhi paropkar to kabhi,
Gunaaho hai zindgi.
Koi bata de aakhir kya hai ye sindgi?
Suna hai chand lamho ki mohtaj hai Zindgi.

Kitna bhi pyaar karo zindgi se,
Par hoti hai bewafa zindgi.

Kuch iss tarah jiyo zindgi ki,
Ban jaaye itihaas zindgi

1 comment:

  1. Jis aasma ki mujhe talaash thi,
    Woh abhi mujhe mila nahi,
    Takdeer ko jo mujhe dena tha,
    Nahi diya,
    Iska mujhe koi gila nahi,
    Abhi laga hua hai nakaamyaabiyon ka silsila,
    Manzil door hai aur rasta mujhe mila nahi. . .
    Phans bhi jaati hai toofano mein kashtiyan,
    Kya aisa bhi kabhi hua hai, Ki kinara use mila nahi. . .?
    Aate hi rehte hai zalzalein zindgiyon mein,
    Kya aisa koi zalzala hai, Jo kabhi thama nahi?
    Mil hi jayegi, manzil mujhe kisi din,
    Bas ek ummeed aur hausla hi toh hai,
    jo abhi toota nahi...jo abhi toota nahi...jo abhi toota nahi..

    ReplyDelete