Friday, September 9, 2011

Gurjar or Dahej


Sambhlo-sambhlo Gurjar Jaati ke Nar Aur Naari,
Daan Dahej Han Buri Bimaari !
Ho Sakti Han chati rasthra ki isse bhari!”
“Mita Sako To Dahej Ko Mitao
Kisi Ghar ki Lakshmi Ko Nahi!
Ponch Sako To Aasu Poncho
Kisi Baap Ki Beti Ko Nahin”!

DAHEJ KI RAAJNEETI



VAR PAKSH

Ladka hamara malook hai
Rang thoda pakka hai kyuki bahar dhoop hai,,,

Low ka course kar rha hai,,
Lekin poore saal vo ghar rha hai,,,

Bike rider apna naam btata hai,,,
Ladai jhagde se kabhi nahi ghabrata hai,,,,

Gurjaro ka naam usne roshan karaya hai,,,
“”Gurjar ka chora”’ gana chalake ….’’gurjar boy gaadi’’ k peeche likhvaya hai,,,

Ek sunder gharelu ladki ham chahe,,,
Jiski b.ed ki degree ghar ki deewaro ki shobha badhae,,,,

Rang roop mai kya rakha hai,,
Gori or lambi ho to kya bura hai,,,

Hamare ghar to mauz hai,,,
Acha dahej dene vaalo ki hame khouz hai….

Gaadi ka hame lalach nahi,,
Magar lambi ho to kyu mna karenge bhaai,,,

Bas gaadi se milta julta kanyadaan ho jaae ,,,
Jo hamari poore samaaj mai vaah vaah ho jaae,,,

Paraye dhan se kisi ko kya milta hai,,,
Magar DAHEJ KI RAAJNEETI mai sab chalta hai,,,

VADHU PAKSH ;


Beti hamari nahi malook ghani hai...
Magar veecharo ki badi dhani hai,,,

Sahne ko sabkuch sah leti hai,,,
Magar galat ka saath kabhi nahi deti hai,,,,

Ghar vaalo ka aadar bhav karti hai ,,,
Magar samaye aane par jhansi ki rani banne se bhi nahi darti hai,,,

Dahej mai vaise bhi hamara vishvaas nahi hai,,,
Rishta manjoor hai to theek verna DARVAZA VAHEE HAI,,,

Dahej Pratha

Daahej ka naam sunte hi aankho ke saamne se jalti hui naariyo ke chitr maano chalchitra ki bhanti saamne aa jate han! Dahej ke naam se sabhi Parichit Han!Dahej Humare Samaaj Ki Parmukh Kuriti Han!Dahej Ek Abhishaap han! Jo humare Samaaj ko andar hi andar ghun ki Bhaati khokhla kiye jaa raha han! Yah ab ek bhankar roop le chukka han! Jo aur bhi bhankar hota ja rahan han!yah ek galat parampara han! AgarBahu Dahej nahi laatito use tarah tarah se satya jaata han! Aur Dahej lane ke liye vivash kiya jaata han! Var paksh vale log ek tarah se apne ladke ka soda karte han! Jise Varmulya kahna hi theek hoga ! Aur wo apna muh manga dahej pate han! Jab unhe muh manga dahej milta han to wo doobara mangne mein bhi nahi hichakte han! Aur fir yahi karte han aaye din samacharpatro mein aise khabare ati hi rehti han!Yahi karan han ki Ladki ka hona abhishaap aur ladke ka hona vardaan mana jaata han! Engineer ,doctor, sarkari adhikariyo ka mulya kahi laakho mein aaka jaata han! Dahej ki isevyavsay vriti ke parinaam swaroop anek buraiya uttpann ho jaati han! Amir Baap to ye mange puri kar dete han! Lekin Garibo ke liyeyeh bahut mushkil kaam han! Issliye to jama khori,Rishwat khori,or choriyan tak karte han! Jisme Gande Tatvo ko humare samaaj mein panapne ka awsar milta han!
Dahej ke kaaranladkiyon ke liye 4-6 varsh tak ladka na milna bahut hi sahejbaat hoti han! Dahej ke kaaran kabhi kabhi vivah jaise punya avsar per barate vaapis laut jaati han! Jo ladkiya dahej nahi laati unhe unhe sasuraal mein apmanjanak baatein sunni padti han! Jyadatar sunne mein aata hanki saas ne bahu ko jala diya ya bahu ne khud khushi kar li! Ek ghar mein ek ladki adhik dahej laayi to aur ek kam tokam lane wali ko na hi sasural wale pasand karte han! Aur sab log usper atyachar karne lagte han jisse dukhi hokar wah khud hi aatma hatya kar leti han! Purane jamane mein bahu ko lakshmi roop mana jata tha! Koi Baap nahi chahta ke uski beti dukhi rahe issiliye wah sab kuch den eke liye taiyar o jaata han! Humari sarkaarne iss pratha kokhatam karne ke liye bahut se kadam uthaye jaa rahe hanaur shaktishali niyam banaye jaa rahe han! Kintu kanoonke sath hridya parivartan bhi hona chahiye!Jab tak swayam aam janta ko iss pratha se ghrina nahi hogi tab tak iska unmoolan sambhav nahi kitne hi kanoon or niyam bane logo ko gopniye roop se dahej lete or dete rahenge!
Agar issburai ko samapt karna han to hum sabko milkar shapath khani hogi ken a koi dahej le na koi dahej de! Jab dahej lene or dene wale hi nahi honge to yeh pratha khud pe khud samapt ho jayegi!
Fir lakho navyuvtiya dahej pratha dwara mari gayi hatya se bach jayengi! Aur samaaj se yeh kalank bhi door ho jayega!!




Vivah ka yeh pavitra sambandh bhi sadharan roop mein na hokar ek partiyogita ke roop mein hota han! Aise avsaro par apni wah wahi karvaane ke liye anavashak kharach kiya jaata han! Iss bhool ke karan hi aaj vivah ek vyapar ban gaya han! Vivah ke pavitra avsar per dahej roopi mudra ke badle Amulya ladke ka sauda hota han! Samay ke badalte parivesh mein samaaj ne bhi karvate badly aur aaj yah ek pratha hi ban gayi han! Vastav mein prachin kaal se yehkoi pratha nahin thi balki mata –pita dwara pyar ke sath putrid ka kuch kanyadaan tha! Vivah ke awsar per mata-pitah kuch gharelu samaan apni putriko kanyadaan swaroop diya karte the! Prantu aaj samaaj humare “Bhaiyo or Bheno” ne isko ek Bhyankar rog ka roop de diya han,rog ke roop mein yeh dahejroopi kodh humare samaaj ko patan ki aur le jaa raha han! Kuch nirikshan ke baadhum pate han! Sasuraal mein saas –sasur,pati aadi ki pratadnao ke neeche uske liye keval jameen aou aasmaan hi saathi roop mein hota han,Kuch samay aise hi koodne ke paschat ek din aisa aata han jab dahej ke bhooke bhediye uss bholi or nirdosh ko amritroopi vish pilakar ghee ki jagah mitti –tel chidakkar antim sanskaar ke roop mein uski holi jala dete hanya kisi kabr mein dafna dete han! Aaye din akhbaar aisi aneko ghatnao se akhbaar range pade hote han!

Mere vichar mein-
Na Jaane Kitni Geeta Ganga Maa Ki,
God Mein So Jaati Han,
Kitni Seeta Rail –Patriyo par,
Lahu Ho Jaati Han,
Kon Kue Mein Kood Gayi Aur
Kon Giri Kinaro Se,
Kon Ginega Inki Sankhya
Range Hue AkhBaaro Se
Dharam Bechne WaloTum,
Shram Bechne Walo Tum,
Fir Se Kiyon Jinda Karte Ho,
Mare Hue Chanej Ko,
Sone Ki HAthkadi Tod Do
Maro Dusht Dahej KO!!

Arthat naa jaane kitni Bholi aur Nirdosh Bhene Katkar ,Jalkar,Girkar,Doobkar,Anicha hone per bhi majboor hokar maut ko gale laga leti han! LEkin Afsosh Han Ke Ek Pyari Putri ki itni dukhad mrityu ke baavjood bhi anyo ke mata pitah fir vahi dahej roopi vyapar karne ke liye raaji ho jaate han! Kiyon? Kiyonki Wo Ladki Ke hath peele karne ke liye Majboor Hote han!
Kuch Ladkiyan Bhi Dahej ki Sehyogi hoti han,vo adhik dahej le jaakar vah vah lena chahti han! Dusri aur vivah ke samah hare k suyougya ladke ki boli lagati han aur ve kharid lete han vo dhanwaan kanya paksh vale jo adhik se adhik boli dete han! T.V.,car,sofa,freeze, aadi to aam baat ho gayi han! Dahej ko Badhava Dene wale Dhani maa-baap bhi hote han! Man mein Aneko sawaal uthte hanki-
Kiyon Humare Bhai Apne Amulya Jeevan Ka Mulyankan karte han..?
Kiyon Nahi Bikne se inkaar kar dete han..?
Kiyon Humari Bhene Aise Gharo Mein Bahu Bann eke liye taiyaar ho Jaati han..?
Jahan Bahu Lakshmi Nahi Balki Ek Grahak ke roop mein pravesh karti han?
Kiyon Nahi Tyag Deti Aisi Shadiyon ko..?

Ji han aajkal Dulha bhi anya bhotik saman ki tarah becha jata han aur bechne wala bade unche daam lagata han! Samaaj mein Dulha aajkal bada mehnga padta han chahe vah berojgaar hi kiyon na ho kintu uske bhi daam aasman ko chute han aur yadi ladka rozgaar per laga han tab to vah Pitah Ke liye Sone ke ande dene wali murgi se kam na hoga! Aaj samaaj mein yuvko ka kitna mazak udaya jaa raha han ! kiya wo apang han jo ki bikte han swayam apne pero per khade hokar swawlamban se jeene mein jo aanand han vah dusro ke hatho mein bikne mein kahan! Kitna Neecha Gir Gaya han aaj ka insaan ki Insaan , insaan ko bechta han!
Yah atyant Khed ki baat han ki aajkal log matr paise ke aadhar per hi samajik istar aakne lage han! Ve parivarik prishtbhumi tatha ladka ya ladki ke gun v avgun ko nahi dekhte! Aaj Aise ghar kitne han jahan anya baato ko nazarandaj karke var vadhu ke guno ko parkha jaata han! Shayad ginti ke ghar honge ! Anyatha maa-Baap aur anek Mamle mein var vadhu bhi upri chakachondh se hi prabhavit hote deekhayi dete han!
Iss samasya ke samadhan swaroop mata-pitah ,V Bhai Bheno se anurodh han ki ve iss aur dhyan dete hue samaaj per kuch reham kare! Mata-Pitah ka Kartavya hanki Jis dhanse vo bachcho ko Dahej-pratha jaise bediyon mein kaste han,jo ki uss dhan se unko (ladkiyon) shikshit kar apne pero per khada hone ki samarthya pradan kare ,Varna Dahej Ki ye Bediyan Unki Beti ki kafan ki antim rassiyan Bankar rah jaati han! Doosri aur Bheno se bhi Prarthna Ki vo Vivah mein hone wale kharach ko apni shiksha per vyavkar swayam ko aatm nirbhar banaye aur dukhad mrityu se chutkara paaye!
Bhaiyo Se anootha anurodh hanki vo apne manaur mata pitah tatha Kusanti samaaj ke aagrah per apne amulya jeevan ka mulyakan na kare! Vivah ke liye hum sabhi ki sabse badi maang yogya jeevan sathi ho aur tatpaschat koparthao ka nash kar shiksha per bal de! Yadi hum sakshasta ka yeh beeda utha le to samaaj se dahej pratha jaise samashyao ka samadhan ho jaaye! Fir kiya aavashyakta han sarkar ko niyam or kannoon banana ki samajik karyakarta doosro ko updesh dene ke sath sathsarvpratham swayam bhi iss marg per chalne ki koshish kare ! Aasha han ki mata-pitah,Bhai –Bhene,Samajik Karyakarta aadi sabhi iss aur gahan soch vichar kar iss disha mein thos kadam uthayenge taaki humara aane wala bharat swaran chidya ho!
• “Ant mein Kehna Chahunga ke- Sambhlo-sambhlo Gurjar Jaati ke Nar Aur Naari,
Daan Dahej Han Buri Bimaari !
Ho Sakti Han chati rasthra ki isse bhari!”


• “Mita Sako To Dahej Ko Mitao
Kisi Ghar ki Lakshmi Ko Nahi!
Ponch Sako To Aasu Poncho
Kisi Baap Ki Beti Ko Nahin”!


Ravi Kasana
Manager-Technical
Delhi Transport Corporation(DTC)
Vill & Po- Jawli,Ghaziabad
mob-9716016510

No comments:

Post a Comment