Friday, September 9, 2011

LOHMOD' a celebreted gotra of GURJAR/GUJJAR.

LOHMOD' a celebreted gotra of GURJAR/GUJJAR.
Lohmod is one of the many clans of the Gurjars.They are branch of Gurjar panwars.They had been one of the ruling clans of the Gurjars.They are also known as Lohia. bhaiyo inka panwar gurjaro se lohmod gurjAR banne ki do rochak sacchi story h......................

1)bhai y baat mujhko mere chacha(mere papa ki bua k ladke) jo ki Ghitorni gaam k h,unhone batayi.According to him,kai so saal pehle gujjro ka ek raja tha aur usne dipawali par apne rajya m kisi bhi vyakti ko diya jalane su mana kar diya.....taki lakshmi mata keval unke rajmahal me hi aaye,,,,,isliye usne sab tel bechne waalo ko tel bechne se mana kar diya.....aur dipawli k aane par kisi k bhi paas tel/ghi nahi tha diya jalane k liye...us raja k rajya m kai panwar gujjar bhi the unme se ek panwar gujjar ko ye baat chubh gayi aur usne apne ghar ki lohe ki jangla tod k loha kattha kiya aur phir usne kai kilo loha mod kar unme se tel nikal diya (pehle sab janglo m tel laga kar rakhte the) aur apne ghar,gali m diye jalaye .jab raja ne apne mahal su dekha to paya ki ek gali m roshni ho rahi h,usne sanik bhej ko us panwar ko bulaya aur puccha tumhe tel kisne diya tab vo bola ki maharaj y to mene loha mod k nikala tha ,raja ko visvash na hua usne kaha fir sw mod kar dikhao aur ek vazni loha mangaya aur modne ko kaha.....to us panwar gujjar ne vah vazni loha sahaz hi mod diya ye dekh raja dang rah gaya aur usne kaha aaj se tum LOHMOD GUJJAR HO......
2)Lohmod is a Gujari/Hindi word, where "Loh" stands for Iron and "Mod" for Bending.They started using this surname from the day when their ancestor King Jagdev Panwar bended the Iron rod of Sanwa Mann (60 kgs) in Pushkar.

JAI BABA MOHANRAM JI KI.

No comments:

Post a Comment