Friday, September 9, 2011

POEM DEDICATED TO OUR NATIONAL HERO NETAJI SUBHASH CHANDRA BOSE


POEM DEDICATED TO OUR NATIONAL HERO NETAJI SUBHASH CHANDRA BOSE
...............................

Netaji ka janamdiwas soney se toley janey ka..gatha gaai ga jiski yug yug itihas jamaney ka..

janamdiwas ki bela mai, bharat ka bhagya jaganey ko....suntey hi sab nikal padey, shradha sey ardhya chadhaney ko

mata behney bahu betiyan gehney sab lekar aai, jo tha jis k pass badal kar, badley mai sona layi

milkar bhandar lagey bharney sab us khali padey khajaney ka.. gatha gayga jiski yug yug ithihas jamaney ka..

mahima gau kon daan ki, daan bhala ye kiska tha... kon batay ab ye pehla daan mila ye kiska tha..

tang gai tula k do paldey umda samuday dekhney ko., netaji se vinti ki paldey mai swayam baithney ko

pehli baar mila tha awsar,apna bal aajmaney ka..gatha gayga jiski yug yug itihas jamaney ka

palda pura bhar gaya, magar neechey nhi jhuka palda... jis paldey mai netaji they,upar nahi utha palda..

dharti ambar dono paldey amar tula par latak rahey, tak taji lagay netr sabhi k amar tula par atak rahey

budha ek molvi aaya, thaili bhari hui laya, 20 varsh k betey ko gayab usney batlaya

bola eklota beta, merey dar sey ghar chhod gaya, meri aankhon ka tara meri hi aankhen phod gaya...

kabhi kanpurk saraf mai, main naami vyapari tha, heera moti jawahrat soney ka karobaari tha..

meri abba k abba ney nolakha haar banaya thaa, apney eklotey potey ki patni ko pehnaya tha..

daulat k sath dua dekar wo sufi bankar chaley gai.. unhi usulon par abba ne niyam banay naye naye

betey k gum mai bibi ney khana peena chhod diya, ban gai asthma ki rogi, do baras baad dum tod diya

martey samay badi mamta se sopey sab shrangar mujhey, sopey soney k sab gehney, sopa nolakh haar mujhey

boli apni putrwadhu ko ye gehney pehna dena, merey marney par meri, ye wasiyat amar bana dena

wahi amanat is thaili mai, aaj aapko laya hu...betey ki ma ki mamta ko amar bananey laya hu

beshak beta pyara tha, par tum betey se pyarey ho... watan parasti mai merey bharat k tumhi saharey ho....

gala rundha aansu chalkey, budha paldey ki or badha... nolakh haar sahit paldey par sara jewar diya chadha..

beshak wajan badha paldey ka lekin palda upar tha.. netaji wala palda to jyo ka tyo hi bhu par tha....

budha bola aisey mai beta bhi agar sath hota, is jangey aazadi mai uska bhi aaj hath hota.....

isi beech shook ka geet gunjati devi wahan ek aai, kohraam bhayankar tha swar ka,awaj galey ki bhar aai....

dasha dekh us devi ki sachmuch sabko hairani thi, mangalsutr hath mai tha,jismey chupi kahani thi......

netaji ki aankho se,karuna k aansu behtey they,,, maun awastha mai aansu antar gatha kehtey they..

hosh aaya boli devi, lo dev isey swikar karo.. hoth hiley boley netaji, beti bharat ki, dheer dharo

palda hila, utha kuch upar, jaan liya netaji ney..mangalsutra vijay ka suchak maan liya netaji ney..

dono paldey hiley magar, santulan abhi tak hua nahi... netaji k siva kisi ney pawan palda chua nahi...

harsh badha sanket mila, dadi maa k aaney ka.. gatha gayga jiski yug yug itihas jamaney kaa..

sath sahara liye hath ka, budhiya ma roti aai.. soney se jadey chokhtey(frame) mai, betey ka chitr sath laai........

sabki aankhen dekh rahi thi, wradha maa k aaney ko..anubhav k aashirwad ka chamatkar dikhlaney ko...

rokar boli, betey main, betey k dukh ki maari hu.. eklotey betey ki maa, betey vidhwa dukhyari hu....

mera sapna tha beta, betey k vivwah rachaney ka... gatha gayga jiski yug yug itihas jamaney ka.....

betey ki jid thi betey, aazadi dulhan laaney ki.. mujhey bharat maa kehkar aadat thi mujhey rulaney ki.....

kehta tha pehley mata k, pairo ki janjir tod du.. meri maa jiski bandi hai pehley uska sheesh tod du...

us sey pehley nahi irada koi vivaw karaney ka... gatha gayga jiski yug yug itihas jamaney ka....

hastey hastey ho gaya shaheed, imphal morchey par jakar... mujhko sab bhaid diya, usney khud sapney mai aakar....

kal phir sapna aaya tha, is tuladaan k honey ka.. ye amar dharohar hai betey, ley pakad frame ye soney ka.....

mera sab kuch beta tha, betey ka sab kuch ismey hai.. ab tu hi sab kuch beta hai, tera hi sab kuch ismey hai......

frame nikala mata ney , us paldey par chadha diya.. swarnbhaar waley paldey ka, wajan barabar badha diya.........

santulan hua netaji ab, pahuchey upar soney sey... dharti ambar dono paldey, ho gay santulit soney se....

harshit huey sab nar-naari, chhuey charan us mata k... ma mai hu ab tera beta, swar they bharat nirmata k......

maa purn karunga apna pura wachan nibhaney ka... aajadi ki dulhan ko, maa k aangan mai laney ka.....

gatha gayga jiski yug yug itihas jamaney ka....

By
--------- Maj (DR.) Deshraj Singh, Meerut

No comments:

Post a Comment